Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, April 15, 2011

Usko fursat hi nahi waqt nikalay MOHSIN!

Usko fursat hi nahi waqt nikalay MOHSIN!
Aisay hotay hain chahnay walay MOHSIN!
Yaad ke Dasht main phirta hon main nangay paoon!
Dekh Tu kabi aa ke paoon ke chaalay MOHSIN!
Kho gai Subho ki umeed, aur ab lagta hai!
Hum nahi hon gay, ke jab hon gay Ujalay MOHSIN!
Hakim-e-waqt kahan, Main kahan, Adal kahan!
Kyon na Khhalqat ki zuban par lagain Taalay MOHSIN!
Wo jo ik shhhhaksh Mtaa-e-Dil-o-Jaan tha, na raha!
Ab bhala kaun meray dard sambhaalay MOHSIN!

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...