Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, April 4, 2011

Meray hur amal ko nazer main rukh, meri chahuttoon ka silla na dey

Meray hur amal ko nazer main rukh, meri chahuttoon ka silla na dey
Mae chiraag-e-aakhir-e-shub sahi, mujhey bay-rukhi ki saza na dey
Mujhey dushmunoo sey gila nahi, sila doostoo sey mila nahi
Mujhey jitna jeena tha jee chukka, mujhey aur jeenay ki dua na dey
Ye gaye dinoo ki baat hai, issi rah pet um meray saath thay
Mae naaye sufer pe hoon ga gaamzun, mujhey duur jaa kay sada na dey
Mera hurf hurf hai dil-nasheen, kahin tu tau is main makeen nahi
Ye junoon-e-shooq-e-sukhun kahin, tera chehra sub ko dikha na dey
Ye talaash-e-baab-e-wafa sufer, mujhey tum sey duur tha lay gaya
Palut ker aaon ga yaad rukh, tera shehur mujh ko bhula na dey
Mae bhula nahi bura sahi, mujh sey koi gila sahi
Tera baat baat pe roothna, naaii rah mujh ko dikha na dey...

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...