Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, April 8, 2011

lagta hai zindagi se rishta badal raha hai

lagta hai zindagi se rishta badal raha hai
maiN bhi khafa khafa hoon woh bhi khafa khafa hai

nadaan jhaank dil maiN usmaiN khuda chhupa hai
"pathar ki mooratoN maiN samjha hai tu khuda hai"

aakhir yeh kaisi chaahat, kaisa hai yeh taalluque
jaaNsoz hai bichhaRna, milna bhi ek saza hai

yeh shama ulfatoN ki bujhne na denge hargiz
nafrat ki garcheh abkey kuchh tez hi hawa hai

hans kar kaha yeh usne, kyooN mujhse dil lagaya
dil toRne ki issey behtar koi ada hai

ghabRa ke chal paRa hooN, tanhaayioN ki rah par
har ek qadam pe lekin yadoN ka qafila hai

rahney do usko yaro goshanasheen hi ab
uski khamoshyoN maiN sab ke liye doa hai

kaise yeh zindagi hai, har saans hai khata ek
dekheN KHATIB kab tak saansoN ka silsila hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...