Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, April 8, 2011

Dil-e-veeran hai, teri yaad hai, tanhai hai

Dil-e-veeran hai, teri yaad hai, tanhai hai
Zindagi dard ki baho mai simat aayi hai

Khuda ke baad ek tera tha sahara mujhko,
Dobi kashti leke doba hai kinara mujhko,
Omr bhar doobta jaonga..mai ghum ke.. is samandar main,
Samandar se bhi ziyada mere ghum ki huwi gehrai hai


Sookh ker rehgai mere chaman ki daaliyan saari,
Rooth gaye rung murjhagai khilti huwi kaliya sari,
Saray parindo ne bhi badal diya ashiyan apna,
Meri mohabbat ke chaman main kuch aisi khiza aayi hai

Teri bus ek jhalak ke liye tarasta hoon main,
Har gali teri talash main bhatakta hoon main,
Teri yaadon ne apna qaidi banaliya hai mujhe,
Dekh phir sham teri yaadon ki zanjeer le ayi hai

Zindagi bhar main tujhko bhula nahi sakta,
Tera piyar mere dil se ja nahi sakta,
Meri mohabbat ko tune kabhi samjha hi nahi,
Meri mohabbat mai na kami ayi thi aur na aayi hai

Basgai hai tu meri ankhon mai ansowon ki tarha,
Zeher bhi lagta hai meetha teri baaton ki tarha,
Uth rahay hain mere armanon ke janazay,
Tere bin her khushi kafan main lipti huwi nazar ayi hai

Mujhko tere honton ki tabassum ki qasam,
Moat bhi mujhko aker bhi nahi aayi hai
Dil-e-veeran hai, teri yaad hai, tanhai hai

Zindagi dard ki baho mai simat aayi hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...