Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, March 17, 2011

Dasht Hai,Raasta,Ya Qariya Hai

Dasht Hai,Raasta,Ya Qariya Hai
Jabaja Tera Aks Bikhra Hai
Shaam Masti Main Hai,Fiza Khamosh
Ser Ko Wo Zaroor Nikla Hai
Raat Baqi Hai,Kya Karoon Hamdam
Dar Rha Hoon,Bohat Andhera Hai
Masheenon Main Guzar Rhi Hai Hyaat
Mur Ke Dekhoon Tu Aik Sehra Hai
Saans Ki Chand Gihain Baqi Hain
Saamnay Khwahishonn Ka Darya Hai
Her Ghari Deta Hai Rooh Per Dastak
Qurb E Dil Main Ye Kon Rehta Hai?
Teri Yaadain Na Hon Jo Sath Meray
Zindgi Ka Safar Adhoora Hai
Aaj Bhi Wahshatain Hain Lehron Main
Aaj Bhi Ghara Tera Kacha Hai
Girtay Jaatay Hain Shajar Se Pattay
Fiza Main Tehniyon Ka Noha Hai
Tera Her Pehlu,Mukammal Pehlu
Justajoo Ne Tujhay Tarasha Hai
Ik Takarrum Hai Tere Parto Ka
Ba Vazoo Ho Ke Tujhay Socha Hai
Fiza Main Siskiyaan Si Pheli Hain
Phool Koi Lamha Pehlay Bikhra Hai
Nagihaan Aaj Mil Gya Koi
Raqs Main Aik Aik Lamha Hai
Jis Ne Ghao Lagaay Hain Dil Per
Wohi Zalim Mera Maseeha Hai
Ai Meri Jaan Aa Ke Dekh Zara
Tera Nawaz Aaj Tanha Hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...