Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, March 15, 2011

Ager Tum Dhoondhna Chahoo

Ager Tum Dhoondhna Chahoo
Too Main Tum Ko
Khizan Rasida, Be Saya Darakhtoon Main Miloon Ga
Jahan Mehtaab Se Mehroom Ratoon Ko Khizan Aaram Kerti Hai
Jahan Girtay Hoay Patoon Ke Matam Main
Hawa Ka Saaz Shamil Hai
Meri Awaz Shamil Hai
Ager Tum Dhoondhna Chahoo
Too Main Tum Ko
Kisi Veran Basti Main
Kisi Be-Aab Sehra Mai Miloon Ga
Ke Main Sehra Ki Urti Rait Ke Zaroon Ka Hisa Hoon
Koi Bhooli Kahani Hoon
Koi Qisa Purana Hoon
Kisi Din Tum Jo Aa Niklo
Kisi Veraan Qariye Main
Kisi Aisay Kharabay Main
Jahan Koi Nahi Rehta
Jahan Tareek Ratoon Ko
Khamoshi Cheekh Ker Apnay Makinoon Ko Bulati Hai
Achanak Is Kharabay Main
Kahin Baitha Hoa Dekho
Kisi Tanha Musafir Ko
Too Phir Itna Samjha Lena Ke Tum Nay Pa Lia Mujh Ko
Ager Tum Dhoondhna Chahoo
 
too main tum ko kisi veran basti main kisi be-aab sehra mai miloon ga ke main sehra ki urti rait ke zaroon ka hisa hoon koi bhooli kahani hoon koi qisa purana hoon kisi din tum jo aa niklo kisi veraan qariye main kisi aisay kharabay main jahan koi nahi rehta jahan tareek ratoon ko khamoshi cheekh ker apnay makinoon ko bulati hai achanak is kharabay main kahin baitha hoa dekho kisi tanha musafir ko too phir itna samjha lena ke tum nay pa lia mujh ko ager tum dhoondhna chahoo


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...