Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, February 9, 2011

Jaan hai beqaraar si, jism hai paaemaal sa

Jaan hai beqaraar si, jism hai paaemaal sa
ab na wo daag, wo jigar, sirf hai ek khayaal sa

chahiye ishq mein mujhe aap hi ka jamaal sa
daag har ek badr sa, zakhm har ek hilaal sa

jisne bana diya mujhe wehshi-o-khasta haal sa
haaye! wo shaql chaand si, haaye wo qad nihaal sa

dil pe mere giraee'n thee'n tumhi ne bijliyaa'n, magar
aao nazar ke saamney, mujhko hai ehtimaal sa

haaye re wo etaab mein, unn ki adaaein unki shaql
ankhein bhi surkh-surkh si, chehra bhi laal-laal sa

uth'te hi pa-e-yaar ke baagh ka baagh ujad gaya
phool bhi hain tabaah se sabza bhi paaemaal sa

husn ki sehar kaariaa'n ishq ke dil se poochhiye
wasl kabhi hai hijr sa, hijr kabhi wisaal sa

gumshudgaa'n-e-ishq ki shaan bhi kya ajeeb hai
aankh mein ek suroor sa chehre pe ek jalaal sa.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...