Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, February 9, 2011

Dashte Tanhayee Mai

Dashte Tanhayee Mai
Ay Janay Jahan Larzaan Hai
Teray Awaz K Sayee
Teray Hoton K Saraab 
Dasht Ay Tanhayee Main
Doori K Khaso Khaak Talay
Kil Rahay Hain Teri Pehlo...k Samaa
Aur Gulab 
Dasht E Tanhayee May..... 
Uth Rahyee Hai Kaheen Qurbat Sey
Teri Saans Ki Aaaaanch
Apni Khushboo Maen Sulagti Howi
Mad-ham Mad-ham...
Door Ufaq Paaaaar Chamakti Howi
Qatra Qatra...
Gir Rahi Hai Teri Dildar Nazar
Ki Shabnammmm... 
Dasht E Tanhai May..... 
Is Qadar Piyar Sey
Ay Jan E Jahan Raka Hai
Dil K Rukhsar Pe Iss Waqt
Teri Yaad Ney Haath
Yun Guman Hota Hai
Gar-chai Hai Abhi Subhay Faragh
Dhal Gaya Hijr Ka Din.....aa Bhi Gai
Wasal Ki Raat..... 
Dashte Tanhayee Mai
Ay Janay Jahan Larzaan Hai
Teray Awaz K Sayee
Teray Hoton K Saraab...

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...