Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, January 29, 2011

Taluq torrta hun to mukamal torrh deta hun,

Taluq torrta hun to mukamal torrh deta hun,
Jise main choor deta hun mukamal choor deta hun,


Mohabat ho ke nafrat; bhara rehta hun shidat se,
Jidher se aye ye darya udher hi morrh deta hun,


Yaqeen rakhta nahi kisi kache taluq par,
Jo dhaga toot'ne wala ho usko torrh deta hun,


Mere dekhe huye sapne kahin lehrain na le jayain,
Gharonde Rait ke tameer kar ke chorr deta hun,


Adeem ab tak wohi bachpan wohi takhreeb kari hai,
Qaffs ko torrh deta hun, parinde chorr deta hun....!!

·•••o° NAZIM °o•••·

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...