Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, January 28, 2011

Is Raat Ki Tanhayeeon Ke

Is Raat Ki Tanhayeeon Ke
Sab Rang Badal Gaye Hain
Chand Nikla Hai Waisey Hi
Andherey Badal Gaye Hain

Jin Ke Bharose Thi Khushiyan
Woh Baadal Thaher Gaye Hain
Manzilain To Ab Bhi Woh Hi Hain
Kuch Rastey Badal Gaye Hain

Jin Pe Kiya Tha Bharosa Hum Ney
Woh Dost Bicher Gaye Hain
Dekhey They Jo MeMoN Ney
Woh Khuwaab Badal Gay Hain

Jo Baney The Kabhi Humsafer
Aaj Woh Hi Mukar Gaye Hain
Iss Tutey Huey Dil K Sarey
Jazbaat Badal Gaye Hain

Na Badley Kabhi Hum
Na Badley Humarey Khayalat
Bas Rona Hai Yehi AnMoL
Kuch Log Badal Gaye Hain

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...