Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, May 5, 2016

Hua hai aaj pehli baar

Hua hai aaj pehli baar
Jo aise muskuraya hoon
Tumhe dekha toh jaana ye
Ke kyun duniya mein aaya hoon 

Ye jaan lekar ke jaa meri
Tumhe jeene main aaya hoon
Main tumse ishq karne ki
Ijaazat Rab se laaya hoon

Zameen se aasmaan tak hum
Dhoondh aaye jahaan saara
Banaa paaya nahi ab tak
Khuda tumse koi pyaara 

Baaton mein teri hain badmashiyan
Sab bewajah ki hain taarifiyaan

Main likh doon aasmaan par ye
Ke padh lega jahaan saara
Huaa na hoga ab koi
Yahan hum do sa dobara

Main duniya bhar ki taarifein
Tere sajde mein laaya hoon
Main tumse ishq karne ki
Ijaazat Rab se laaya hoon
(Rab se laaya hoon.. Rab se laaya hoon..

Tu hai jo rubaru mere
Bada mehfooz rehta hoon
Tere milne ka shukrana
Khuda se roz karta hoon 

Humko pata hai yeh nadaniyaan hain
Aawara dil ki hai aawariyan

Yeh dil pagal bana baitha
Isey ab tu hi samjha de
Dikhe tujhme meri duniya
Meri duniya tu banja re

Hoon khushkismat jo kismat se
Tumhe aise main paaya hoon
Main tumse ishq karne ki
Ijaazat Rab se laaya hoon



Nazim Ali's photo.



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...