Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, December 25, 2014

Hai Ghayal Bhi Tou

Tammana Bhi Tou Hai 
Lahasil Bhi Tou 
Qibla Bhi Tou Hai
 Mera Qabeel Bhi Tou
Mera Kya Hai 
Mujhe Kahan Ye Hosh Hai 
Mera Qasid Bhi Tou Hai 
Mera Raseel Bhi Tou 
Mujhe Zakham Kahan Hai 
Kya Pata Bass Drad Hai 
Shiddat Bhara
Jab Ke Pather Mujhe Laga 
Or Hai Ghayal Bhi Tou 
Zamana Na Agr Hota Tu 
Tou Mera Hota Sun Lo Nazim
Kyun Ke Manga Bhi Tujhe Tha 
Or Mere Layaq Bhi Hai Tou
(Nazim Ali)



Jaa Ab Use Keh De Nazim

Jaa Ab Use Keh De Nazim 
Tamanna Hai Meri Wo 
Or Lahasil Bi Hai Wo
Shayad Use Paa Tu Nehi Skta 
Mgr 
Jaa ab Use Keh De Nazim 
Tere Hi Naam Ho Chuka Hon Main 
Or Bass Tera Hi Hon 
Han Bass 
Ab Itna Sumjhna Baqi Hai 
K Muqader Mein Tere Bhi Kya Nehin Hon Main...?
Jaa Ab Use Keh De Nazim
Tamanna Hai Meri Wo..
(Nazim Ali)



Mujhe Bhol Na Pawn Ge

Lo Aj Keh Deti Hon Tujhe 
Aye Sangdil 
Umer Guzar Jaye Gi 
Bholte Bholte Pr Mujhe 
Bhol Na Pawn Ge 
Sanas Jab Lo Ge 
Tou Khushboo Ubhare Gi Meri 
Aina Jo Dekho Ge 
Tou Mujhe Samne Pawn Ge
Hon Main Kiss Qadar 
Aziyat Mein 
Aye Sangdil
Ahsas Hoga Tujhe Bhi 
Ek Din 
Pr Tab 
Mujhe Dhound Na Pawn Ge
Aj Pata Laga Hai Mujhe 
Hon Kitni Bebass Nazim 
Usi Ne Kho Diya Mujhe 
Jise Pane Ke Liye Main 
Kitni Pagal Thi 
Dewar Bister Bartan System 
Kahan Nehin Tha Tou 
Aye Sangdil 
Kami Kahan Thi 
Gar Phir Koi Aise Chahe 
Tou Use Bata Dena
Use Mat Gawa Dena 
Or Han Itna Bhi 
Use Bata Dena 
Usi Ki Badolat Ho Tum 
Umer Guzar Jaye Gi 
Bholte Bholte Pr Mujhe 
Bhol Na Pawn Ge
(Nazim Ali)



Hui hui main toh hui shayrana hui

Jheeni hai bheeni hai khushboo teri hai
Main mehak rahi hoon
Jheeni hai bheeni hai khushboo teri hai
Main mehak rahi hoon

Khatti hai, meethi hai, boliyan teri hain
Main chehak rahi hoon
Tu chahat purani shararat nayi hai
Yaqeen toh dila de, tu hai ya nahi hai
Aaye haaye.. zubaan bhi phisalne lagi

Hui hui main toh hui shayrana hui
Hui hui main toh hui shayrana hui
Gungunane lagi aashiqana hui
Hui hui main toh hui shayrana hui
Oo.. aa.. shayarana huyi

Main shayrana shayrana shayrana hui
Chaand chhal ke chal diya hai 
Din mein hi nikal liya hai
Khwaab tod laya hai mere liye naye 
Aage peechhe baahein kheenche
Ud rahi hain yeh hawaayein
Raahein dhoondh laayi hain mere liye nayi
Shayarana, shayarana ho gayi main shayarana
Shayarana, shayarana sha ra ra ra shayarana..

Tu hasrat puraani, tu aadat nayi hai
Yaqeen to dila de tu hai ya nahi hai
Aaye haaye zubaan bhi phisalne lagi

Hui hui main to hui shayarana hui
Hui hui main to hui shayarana hui
Gungunaane lagi aashiqana hui
Hui hui main to hui shayarana hui
Oo ow wo.. shayarana hui

Pa para ra para ra ra 
Pa pa pa para aa ee..
Pa ra ra ra..

Kahein jo sakhiyan
Sune jo takiyaan
Tu hai woh kahaani

Kahein jo sakhiyan
Sune jo takiyaan
Tu hai woh kahaani

Daudi jo nas mein
Rahe na bas mein
Tu hai woh ravaani
Main jis pe fidaa hoon adaa ban gaya tu
Jo sach ho gayi woh duaa ban gaya tu
Ki haaye zubaan bhi phisalne lage

Hui hui main to hui shayrana hui
Hui hui main to hui shayrana hui
Shayarana o o shayarana o..
O shayarana shayarana shayarana
Shayarana na na na na shana na na na na
Shayrana hui yeah yeah..
Shayrana hui
Shayrana



Ek Deep Jala Lon Gi

Main Ek Shamma Bhuja Ke 
Ek Deep Jala Lon Gi 
Tu Rehta Hai Door 
Tou Reh 
Main Teri Yaad Ko Bula Lon Gi
Maloom Hai Mujh Ko 
Man Behke Ga 
Dil Machle Ga 
Teri Baaton Tere Qisson Se 
Main Inko Behla Lon Gi
Khool Ke Gentry Jeewan Ki 
Main Yaadon Ke Phool Dekhon Gi 
Main Jin Ki Khushboo Se 
Kamraa Apna Mehka Lon Gi
Aag Agr Lag Jaye Gi Rukhsaron Pe 
Tou Fikar Na Karon O Dilbar 
Main Dard Ke Ansu Baha Ke 
Us Ko Forun Bhuja Don Gi 
Jab Baat Hath Se 
Mere Nikalay Gi Tou Nazim 
Teri Deed Ki 
Khawahish Ki De Ke Goli 
Main Ankhon Ko Sula Lon Gi
Subha Ka Suraj Jo Nikala 
Zindagi Mein Dobara Nazim 
Main Khud Ko Phir Se 
Idr Udr Ke Kamon Mein 
Laga Lon Gi
(Nazim Ali)



Ab Umeed Hi Rehne De

Ye Jo Umeed Hai Meri
Isse Ab Umeed Hi Rehne De 
Kabi Bhi Jo Keh Na Ska 
Yar Ab Tou Mujhe Kehne De
Jo Ahsas Srif Mera Hai 
Use Bass Mera Rehne De
Jesa Bhi Tha Apna Hi Tou Tha
Sochon Mein Rehta Tha 
Sanson Mein Basta Tha
Guzray Hoye Paloon Ko Chone De 
Zara Sa Tou Yar Khush Rehne De
Ye Jo Umeed Hai Meri
Isse Ab Umeed Hi Rehne De 
Jo Tha Sadaa Se Mera Nazim 
Jane Kyun Wo Bhol Giya 
Ansuon Ko Mere Behne De 
Roti Hui Ankhon Ko Ro Lene De 
Kabi Bhi Jo Keh Na Ska 
Yar Ab Tou Mujhe Kehne De 
Ye Jo Umeed Hai Meri 
Isse Ab Umeed Hi Rehne De
(Nazim Ali)



Koi sagar, dil ko behlata nahin

Koi sagar, dil ko behlata nahin
Koi sagar, dil ko behlata nahin
Bekhudi mein bhi, qaraar aata nahin
Koi sagar, dil ko behlata nahin

Main, koi, pathar nahin
Insaan hoon, kaise keh doon
Gham se ghabrata nahin

Koi sagar, dil ko behlata nahin
Bekhudi mein bhi, qarar aata nahin

Kal tu sab thhey, kaarvan ke saath saath
Kal tu sab thhey, kaarvan ke saath saath
Aaj koi, raah dikhlaata nahin

Koi sagar, dil ko behlata nahin
Bekhudi mein bhi, qaraar aata nahin

Zindagi keh aainey ko tod do
Zindagi keh aainey ko tod do
Is mein ab kuch bhi nazar aata nahin

Koi sagar, dil ko behlata nahin
Baykhudi mein bhi, qarar aata nahin
Koi sagar, dil ko behlata nahin





Had Kar Di

sAri hadEn tOrr kr aAj
!!.....!!
hAd kr di uski yaAd nY..



Unkahi Si Batein

Batein Kuch Unkahi Si 
Unkahi Si Batein...!
Jab Sochta Hon 
Tu Man Hi Man Mein 
Muskara Deta Hon Nazim 
K Shayad 
Qismat Mein Koi 
Phair Aa Jaye 
Wo Jo Hai Apna...!
Shayad 
Humesha Ke Liye 
Apna Hi Ban Jaye 
Unkahi Si Batein...!
(Nazim Ali)




Tou Jee Bhar Ke Main Roo Loon Zara

Tu Jo Ponjhe Ansu Mere 
Tou Jee Bhar Ke 
Main Roo Loon Zara
Gird Se Bhara Hua Hai Chehra 
Ashkon Se Dho Loon Zara

Dafan Ho Jeien Lafaz 
Jo Mere Lab Se Niklien 
Tere Wajood Main 
Dila Mujhe Yaqeen 
Main Dastan-E-Dil 
Apne Kholon Zara

Bari Muddat Hui 
Purskoon Neend Nehi Dekhi
 Ankhon Ne
Tou Beth Jaye Kuch Pal 
Pass Mere 
Tou Main Soo loon Zara

Main Hoon Teri 
Tou Ye Zindagi Bhi Teri Hai 
Jo Chahe Salook Kr
Tere Agay Meri Majal Kiya 
K Main Uff Bhi Bolo Zara
(Nazim Ali)


Hai Dil-E-Nakaam-E-Aashiq Mein

Hai Dil-E-Nakaam-E-Aashiq Mein 
Tumhari Yaad Bhi
Ye Bhi Kya Ghar Hai, 
Barbaad Bhi, 
Aabaad Bhi
Dil Ke Mitne Ka 
Mujhe Kuch Or 
Aisa Gham Nahi
Haan Mgr Itna K 
Hai Is Mein 
Tumhari Yaad Bhi
Kis Ko Ye Samjhaaye 
Nairang-E-Kaar-E-Aashiqui,
Tham Gaye Ashk-E-Musalsal, 
Ruk Hai Faryaad Bhi
Seene Mein Dard-E-Muhabbat 
Raaz Ban Kr Rah Gaya
Ab Wo Haalat Hai K 
Kr Skte Nahi 
Faryaad Bhi
Phaad Daloon Ga Gareeban, 
Phor Daloon Ga Apna Sar,
Hai Mere Aafatkade Mein 
Kais Bhi Farhaad Bhi
Kuch To ‘Asghar’ Mujh Mein Hai, 
Qaayam Hai Jis Se Zindagi,
Jaan Bhi Kahte Hain 
Is Ko Or Unki Yaad Bhi



Wo Bole Nazim Saheb

Itni Si Anayat Ho Jaye 
Gar Shikayat Na Ho 
Wo Bole Nazim Saheb
Ye Tu Mohabbat Ki Farmaish Hai
Kyun Nehi Aate Ho Milne 
Maine Kaha 
Wo Bole Nazim Saheb
Ye Tu Fursat Ki Bat Hai 
Dil Dukhta Hai Mera 
Itni Dori Se 
Maine Kaha
Wo Bole Nazim Saheb 
Ye Tu Qismat Ki Bat Hai
Kyun Rehne Lage Ho 
Khafa Khafa Se 
Maine Kaha
Wo Bole Nazim Saheb
Ye Bhi Tu Apka Hi Kamal Hai 
Kyun Nehi Laate Ho Dil Apna 
Gar Mukhlis Ho Tu 
Maine Kaha
Wo Bole Nazim saheb
Ye Tu Bass Yaqeen Ki Bat Hai
Kyun Krte Ho Shak 
Jab K Intihaa Hai Mohabbat Ki 
Maine Kaha
Wo Bole Nazim Saheb
Yehi Tu Meri Bhi Bat Hai
(Nazim Ali)


Na Pather Ka Na Mom Ka

Na Pather Ka Na Mom Ka
 Na Hi Kisi Ke Hone Ka
Hai Gar Ye Such Tou 
Phir Chor Jaon Hum Ko 
Hon Bewafa Gar Tou
Batla Do Dikha Do
Youn Tasleem Mat Kron 
Or Thukhra Do Hum Ko
Humari Soch Mein Tu 
Shamil Hai Nazim 
Hon Phir Bhi Mujrim Tou
Aao Saza Do Hum Ko
Kro Manzoor Sb Ke Samne Aa Ke Nazim
Abi Se Sumbhal Lo Khud Ko 
Or Sumbhalne Do Hum Ko
(Nazim Ali)


Bhool Na Jana Mujhe

Bhool Na Jana Mujhe
Yaad Na Aana Mujhe
Khwaabo Mein Mere Sapne Hai Tere
Ab Na Jagana Mujhe
Yaad Na Aanaaaa 
Hoon Beh Raha Sailaab Mein
Tera Bana Bas Khwaab Mein
Aati Nahin Neendein Magar
Din Hai Mera Bas Raat Mein
Karke Deewana Mujhe
Yaad Na Aanaaaa 
Faila Hai Har Soo Suna Andheraaaa
Tu Hi Thaa Ab Kon Hai Mera
Hai Eltajaa Mere Khuda
Jaake Use Itna Bataa
Karke Deewana Mujhe
Yaad Na Aana Mujhe
Bhool Na Jaana Mujhe
Yaad Na Aanaaaa



Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...