Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, December 25, 2014

Hai Dil-E-Nakaam-E-Aashiq Mein

Hai Dil-E-Nakaam-E-Aashiq Mein 
Tumhari Yaad Bhi
Ye Bhi Kya Ghar Hai, 
Barbaad Bhi, 
Aabaad Bhi
Dil Ke Mitne Ka 
Mujhe Kuch Or 
Aisa Gham Nahi
Haan Mgr Itna K 
Hai Is Mein 
Tumhari Yaad Bhi
Kis Ko Ye Samjhaaye 
Nairang-E-Kaar-E-Aashiqui,
Tham Gaye Ashk-E-Musalsal, 
Ruk Hai Faryaad Bhi
Seene Mein Dard-E-Muhabbat 
Raaz Ban Kr Rah Gaya
Ab Wo Haalat Hai K 
Kr Skte Nahi 
Faryaad Bhi
Phaad Daloon Ga Gareeban, 
Phor Daloon Ga Apna Sar,
Hai Mere Aafatkade Mein 
Kais Bhi Farhaad Bhi
Kuch To ‘Asghar’ Mujh Mein Hai, 
Qaayam Hai Jis Se Zindagi,
Jaan Bhi Kahte Hain 
Is Ko Or Unki Yaad Bhi



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...