Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, December 25, 2014

Ab Umeed Hi Rehne De

Ye Jo Umeed Hai Meri
Isse Ab Umeed Hi Rehne De 
Kabi Bhi Jo Keh Na Ska 
Yar Ab Tou Mujhe Kehne De
Jo Ahsas Srif Mera Hai 
Use Bass Mera Rehne De
Jesa Bhi Tha Apna Hi Tou Tha
Sochon Mein Rehta Tha 
Sanson Mein Basta Tha
Guzray Hoye Paloon Ko Chone De 
Zara Sa Tou Yar Khush Rehne De
Ye Jo Umeed Hai Meri
Isse Ab Umeed Hi Rehne De 
Jo Tha Sadaa Se Mera Nazim 
Jane Kyun Wo Bhol Giya 
Ansuon Ko Mere Behne De 
Roti Hui Ankhon Ko Ro Lene De 
Kabi Bhi Jo Keh Na Ska 
Yar Ab Tou Mujhe Kehne De 
Ye Jo Umeed Hai Meri 
Isse Ab Umeed Hi Rehne De
(Nazim Ali)



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...