Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, January 29, 2014

yeh bura hua

Mujhe ek manzil-e-khaas ka 
na pata chala, 
yeh bura hua
    meri Justaju 
meri aarzoo hui raaigan, 
yeh bura hua
    meri zest maut se kam nahi, 
mera gham bhi ab mera gham nahi
    teri dastaan mein 
samaa gai meri dastaan, 
yeh bura hua
    mujhe apne naghmom se hai gila, 
mera raaz raaz reh na saka
    woh jale chiraaghon ki tarha 
woh utha dhuNaa, 
yeh bura hua
    tere intezaar mein baith kar,
 mujhe zindagi to mili magar
    mera saath chod ke 
chal diya mera karwaaan, 
yeh bura hua
    mujhe yaad thi yeh na thi khabar, 
mere gham mein hai bada asar
    meri ek aah se jal gaye kai aashiyaan, 
yeh bura hua




No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...