Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, December 17, 2013

Kho Do To Sirf Kahani Hun main

Agar Rakh Sako To Ek Nishani hun main,
Kho Do To Sirf Kahani Hun main,

Rok Paye Na Jisko Yeh Saari Duniya,
Woh Ek Boond Aankh Ka Pani Hun Main,

Sabko Pyaar Dene Ki Aadat Hai Hume,
Apni Alag Pahchan Banane Ki Aadat Hai Hume,

Kitna Bhi Gehra Zakhm De Koi,
Utana Hi Zyada Muskurane Ki Aadat Hai Hume,

Iss Ajnabhi Duniya Mein Akela Khwaab Hun Main,
Sawalon Se Khafa Chota Sa Jawab Hun Main,

Jo Samaj NA Sake Mujhe Uske LIye"KAUN",
Jo Samaj Gaye Unke Liye Khuli Kitab Hun Main,

Aankhon Se Dekhoge Toh Khush Paoge,
Dil Se Puchoge Toh Dard Ka Sailab Hun Main,

"AGAR RAKH SAKO TO NISHANI,
KHO DO TOH SIRF EK KAHANI HUN MAIN."




No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...