Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, October 9, 2013

Mohabbat Ko Zawal Hai

Honton Pe Mere 
Ek Hi Sawal Hai
Kyun Itni Jaldi 
Mohabbat Ko Zawal Hai 
Bhol Tou Meri Hai 
Phir Kya Kahon Nazim 
Dil Ko Torna Bhi Shayad 
Koi Kamal Hai 
Nehin Dekhta Koi 
Phir Mor Kar Inhein 
Ankhein Jo Sojti Hain 
Ye Bhi Wehum-o-Khayal Hai
Abi Koi Rasta Nikale Ga 
Abi Koi Pukare Ga 
Nazim Dekh Lon 
Ye Meri Mohabbat Ka Jamal Hai 
Apni Sari Umer 
Tujhe Paane Mein Guzaar Di 
Pohancha Jo Tujh Tak 
Tou Jana Yahan Koi Or Abad Hai
Yahan Cheharon Ko 
Kai Rang Badalte Dekha Nazim 

Par Badal Jaein Jo Log 
Humein Kyun Un Ka Hi Malaal Hai
( Nazim Ali ) 



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...