Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, October 10, 2013

Kisi Apne Ki Talash Mein Nazim

Kai Mosum Guzar Gaye 
Kisi Apne Ki Talash Mein Nazim
Le Kar Chale Sabhi Ko Sath 
Kisi Apne Ki Talash Mein
Hoye Reza Reza 
Sabhi Ke Samne Nazim 
Sab Raaz Diye Apne 
Kisi Apne Ki Talash Mein
Suno Zara Gor Se 
Meri Samaat Mein Aaye Sab 
Hum Rehe Sada Ki Talash Mein 
Or Wo Rehe Wafa Ki Talash Mein
Wo Meri Ghazalein' Meri Nazmein  
Sabhi Hakayatein Meri 
Har Lafaz Cheekh Raha Hai 
Phir Kyun Kehte Ho 
Hain Bezaban Ki Talash Mein 
Dil Mera Tukre Tukre Ho Kar 
Pather Ho Gia Aakhir 
Kabhi Rukta Hi Nehin Hai Ye Safar 
Sathi Ki Talash Mein 
Yahan Har Koi Hai 
Apne Fann Mein Karigar Nazim 
Koi Hai Rozi Ki Talash Mein 
Or Koi Hai Jan-e-jan Ki Talash Mein 
( Nazim Ali )








No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...