Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, August 1, 2013

ab hamain baikaar ki baatein

Agar karnii hoon to phir Aa,
karain hum piyaar ki baatein
wagarna choR dai
 baaqii hain sub baikaar ki baatein

buraa ho ya bhla 
koii kisi se kya gharaz hum ko
kya apnoon ki kamii he
 jo karein aghyaar ki baatein

lagaayaa dil agar hum ne,
zamaana kya kahaiga phir
ye sub hain baad ki 
ab to na kar baikaar ki baatein

yahaan par to sunaa he ke
 hote hain kaaN diwaaroun ke
kisi ke saamne 
kaise karein asraar ki baatein

ye qol o fail main janaan he 
kuon itnaa tazaad aakhir
kisi se pyaar karta he 
kisi se pyaar ki baatein

teri nazroun main jab se 
pyaar ki daikhi jhalak hum ne
burii lagtii nahein hain 
ab hamain baikaar ki baatein

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...