Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, July 12, 2013

Dukh sambhaaltey rehna !!

Raat kitni gehri ho

Khawab ki ridaaon per

Chaand taanktey rehna

Apna dukh chupa ker bhi

Sukh ko baant-tey rehna

Pyar ke awayel mein

Pyar ki nishani per

Jo kisi ne di ho

Wo kaanch ki her churri

Toot bhi agar jaye

Aansoo ko aankhon se

Duur taaltey rehna

Kachi umer mein apni

Diary mein rakhi jo,

Titliyan gulabi wo 

Phir nikaaltey rehna

Khud wajood ko apney

Doosron ki marzi ke Sung dhaltey rehna...

Larkiyon ki fitrat hai....!

Dukh sambhaaltey rehna !!


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...