Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, June 1, 2013

Tumhen ijazat he.

Nayi ruton k naye safar min.

Tumhen ijazat he.

Bhool jana.

Hazar salon pe sabt chahat ki poori tareekh.

Bhool jana.

Magr meri jan.

Sarab mazi k khwab alood 
roz-o-shab ki wo aakhri
 sham yad rakhna.

Wo aakhri sham.

Jab tumhari, meri nigahon ne.

Aik dooje k dil min utar k
 shafaf aayinon min.

Khud apne chehron k aqs
 dekhe to ro pare the.

Wo akhri sham.

Jab tum ne ye kaha tha.

K chaand dekho to
 sarsarati hawa k dil pe meri.

Tamana k nam koi payam likhna.

Us aakhri sham.

Tumhari nigahon se jab
 min apni nigah chhura k
 wapas palat raha tha.

To tum ne kuch bhi nhi kaha tha.

Magr hawa min 
nami achanak hi barh gai thi.



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...