Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, June 26, 2013

Sisak Kar es Zamany Me

Sisak Kar es Zamany Me Guzaara Kon Karta Hai,
Bharay Dariya Me Tinke Ko Sahaara Kon Karta Hai.

Bhula Dala Humein Aisa K Jaise Mar Chukay Hain Ham.
Jahaan Se Jaane Waalo'n Ko Pukaara Kon Karta Hai.
... 
Na-Jaane Kitne EeeSa Chor Kar Aaya Hun Rasty Me,
Saleebon Se Masihaai Utaara Kon Karta Hai.

Suna Karte Thay Logon Se Mohabat Aik Ghalti Hai,
Chalo Ik Baar Kar Baithen Dobara Kon Karta Hai.

Bharosa Un Pe Hota Hai Jo Khud Ko Kho Nahi Dete.
Zafar Tumhara Kar B Le Koi Humaara Kon Karta Hai


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...