Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, May 8, 2013

Nazim Koi Sucha Wadaa Kab Us Ne Kiya Tha

Jate Hoye Wo Hum Se 
Dukhon Ko Bardashat Krne Ke
 Hoslay Bi Le Gaye
Meri Chahaton Ke Sabhi Silsale
 Wo Mutthi Mein Band Kr Ke Le Gaye 
Ranjshein Bi Thi Juri Tujhi Se 
Or Chahatein Bi Be Shumar Thi 
Qurbatein Tu Cheeni Hi Thi
 Or Faslay Bi Le Gaye
Mere Sapne Toot Chuke Hain
 Udasi Ne Har Jagha Lagaya Hai Deraa 
Wo Tanhaa Kr Ke Mujhe 
Phir Qaflay Bi Le Gaye
Meri Ankhon Mein Ab 
Kabhi Sukh Ki Neend 
Uttar Sakti Hi Nehin Nazim 
Khawab Bi Wo Mere Le Gaye
 Or Rattjage Bi Sare Le Gaye 
Nazim Koi Sucha Wadaa Kab Us Ne Kiya Tha
Wo Yaqeen Ke Sath Aaye 
Or Kr Ke Beyaqeeni
 Sare Aashiyaane Bi Le Gaye
( Nazim Ali )


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...