Shaam Ka Dhalta Sooraj,
Kuch Kehte Kehte Doob Giya,
Tanhai ke ik aalam main,
Udasi ke ik manzar main,
Ghum ke gehrey saaye main,
Shaam Ka Dhalta Sooraj,
Kuch Kehte Kehte Doob Giya...
Chal rahi thi pur.souz hawa,
Lagta tha k jaise..
Koi saada zoor se goonje gi,
Koi chekhe ga chilaye ga,
Rang falak bhi apna badle ga,
Ek surkhi har su phailey gi,
Main ne dekha jo dhaltey Sooraj ko,
Ek Karb ka manzar waisy tha,
Ek dard ka fasaana roshan tha,
Ek Rang tha sirf udaasi ka,
Ek ehsaas tha sirf bezaari ka,
Lagta tha Jaise....
Sadion pe phaili kahani ka,
Aaj raaz to afshaa ho ga,
Aaj saari duniya dekhe gi,
Aaj khob Tamasha hoga,
Yun Lagta tha ke Jaise...
Aaj dil khol k sooraj roye ga,
Tab chain ki neend ye soye ga,
Is dil.souz hawa main jaise,
Aaj bohot se faisle hone Hain,
Lekin faisle ki is ghari main,
Waqt ne barri na-insaafi ki,
Main ne aankh utha ke dekha jo,
Bari hasrat se, majbori se,
Meri aankhon main aankhein daale,
Shaam Ka Dhalta Sooraj,
Kuch Kehte Kehte Doob Gaya..!!!
No comments:
Post a Comment