Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, March 22, 2013

rihaa hone se darta hai


yahan har shaks har pal haadsa hone se darta hai
khilona hai jo mitti ka fana hone se darta hai

mere dil ke kisi kone mein ek massom sa baccha
badon ki dekhkar duniya bada hone se darta hai

na bus mein zindagi iske na kaboo maut par iska
magar insaan phir bhi kab khuda hone se darta hai

ajab ye zindagi ki qaid hai, duniya ka har insaan
rihaai mangta hai aur rihaa hone se darta hai 






No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...