Rasta hi neya hai,
na main anjaan bohat hoon,
Phir kuye’malaamat mein hoon,
Phir kuye’malaamat mein hoon,
nadaan bohat hoon,
Ik umar jisey khawab ki manind hi dekha,
Chooney ko mila hai to
Chooney ko mila hai to
pareshaan bohat hoon,
Mujh mein kabhi
aahat ki tarah se koi aye,
Ik band gali ki tarah
Ik band gali ki tarah
sunsaan bohat hoon,
Uljhen ke keyi baar
abhi lafz se mafhoom,
Saada hai bohat woh,
Saada hai bohat woh,
na main asaan bohat hoon..
No comments:
Post a Comment