Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, February 15, 2013

main chup rahoon mere dosto

kabhi aankh se jo gira nahi, 
main wo ashk hun,Mere Dosto
Mera zabt hey meri zindagi, 
so main kya kahoon, Mere Dosto!

Main to aik harf-e-sawal hun, 
main to aik mouj-e-khayal hun
wo sunay to arz-e-wafa karoon,
kahay to bahun mere dosto

tumhi meri ronaq-e-sheher thay,
meri jaan thay,maani-e-dehr thay
mera aas paas ujard gya, 
main kahan rahoon mere dosti

Wo jo phool hain jo charagh hain,
mere naam k,
 wo tumhain milain
ye jo zakhm hain,
ye jo dagh hain,inhain main sahun, 
mere dosto

Kahien jeet kar tumhain kho na doon,
to shikast apni hi maan loon
mere zarf ka hey ye faisla,
 k main chup rahoon mere dosto





No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...