Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, February 4, 2013

Jab rat ki nagin dasti hai

Jab rat ki nagin dasti hai
Nas nas main zeher utarta hai
Jab chand ki kirnain tazi say
Is dil ko cheer kay aati hain
Jab aankh kay ander hi aansoo
Zanjeeroon main bandh jatay hain
Sab jazboon par chah jatay hain
Tab yad buhat tum atay ho
Jab dard ki jhanjer bajti hai
Jab raqs gamoon ka hota hai
Khawaboon ki taal par saray dukh
Dahshat kay saz bajatay hain
Gatay hain khawish ki laay main
Sab jazboon par chah jatay hain
Tab yad buhat tum aatay ho
Tab yad buhat tum aatay ho….!

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...