Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, January 15, 2013

Koi tumsa nahi

Dhoop nikalti hai jahaan se,
Chandni rehti hai jahaan pe,
Khabar yeh ayi hai wahan se,
Koi tumsa nahi, oh koi tumsa nahi...

Neend chupti hai jahaan pe,
Khwaab sajte hai jahaan pe,
Khabar yeh ayi hai wahaan se
Koi tumsa nahi, oh koi tumsa nahi...

Phool, titli aur kaliyaan, ho gaye tumse khafa,
Cheen li jo tumne inse, pyaar ki har ek ada,

Rang banta hain jahaan pe,
Roop milta hain jahaan se,
Khabar yeh ayi hai wahaan se,
Koi tumsa nahi, oh koi tumsa nahi...

Mere dilke chor ho tum, kiya tumhe ehsaas hai,
Haan Mere dilke chor ho tum, kiya tumhe ehsaas hai,
Ishq tha duniya mein jitna, sab tumhare paas hai,

Hai deewanapan jahan pe,
Bante hain ashiq jahaan pe
Khabar yeh ayi hai wahaan se,
Koi tumsa nahi, oh koi tumsa nahi...





No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...