Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, December 15, 2012

Yeh saal bhi udas raha, Rooth kar giya


Yeh saal bhi udas raha, Rooth kar giya
Tujh se milay baghair DECEMBER guzar giya

Meri masalehat jo hui....apnay aap se
Mujh mein jo aik shakhs jrri tha woh mrr giya

Jo baat moutbar thi,woh srr se guzar gai
Jo harf sarsari tha,woh dil mein utar giya

Sheh ragg mein yun rawan tha hajoom-e- sada ka khof
Aksr mein aap..... apni hi ahat se drr giya

Ab na hijjar ki khalish, na khahish wisaal ki
Jese nazar mein aik sa mosam thehar giya

Mohsin yeh rang, yeh roop yeh ronaq bjaa magar
Ab kiya jiyon ga mein... ke mera jee to bhar giya









No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...