Nazim's poetry

Nazim's poetry

Sunday, December 16, 2012

Rote Hein To Rote Hein.

Kuchh Log Zamane Me Aise Bhi To Hote Hein,
Jo Batein Nahi Karte Hein Nashtar Se Chubhote Hein.

Jinke Liye Hum Raton Ko Uth-Uth Ke Rote Hein,
Woh Apne Sabistan Mein Aaram Se Sote Hein.

Is Baat Ka Rona Hai, Is Baat Ko Rote Hein,
Kashti Ke Mutahit* Hee Kashti Ko Dubote Hein.

Diwano Kee Basti Ka Andaz Nirala Hei,
Hanste Hein To Hanste Hein, Rote Hein To Rote Hein.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...