Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, December 14, 2012

Mujhe Acha Laga..

Dur Reh Kar Bhi Unse Mohabbat Karna Mujhe Acha Laga..
Woh Bataye, Aakhir Unhe Yeh Waaqiya Kaisa Laga..?

Itne Faslay Me Bhi Hain Unki Qurbat Ke Mazay..
Unse Milna ,Unse Baate Karna‚Â Mujhe Acha Laga..

Silsilay Unki Yaado Ke Phailay Hain Har Taraf..
Unki Chah,Unki Raah Me Bhatakna Mujhe Acha Laga..
Raakh Urrne Lagi Hai Mann Me Jalti Bujhti Yaado Ki..
Shaam Dhalay Unki Yaado Ke Deep Jalana Mujhe Acha Laga.

Kaise Kahun Unke Bin Dasti Hai Mujh Ko Tanhaii..
Unki Ulfat,Unki Furqat Me Ratt-Jaga Karna Mujhe Acha Laga..

Wo Aanch Thi Hawa Me Ke Kali Tak Bhi Sulag Gayi..
Aise Me Unka Ghatta Ban Ke Barasna Mujhe Acha Laga..

Faaslay Mitt Na Paaein Ge Inn Dooriun Ke Kabhi..
Tasawar Me Unka Yun Aa Ke Dil Ko Behlana Mujhe Acha Laga..

Cheen Li Neend Jab Aa Ke Unke Khiyaalo Ne..
Unki Yaad Me Raat Bhar Jaagna‚..Mujhe Acha Laga..

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...