Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, December 17, 2012

Jo pori na ho kabhi aisi AAS chor giya..

Mere wajood ki mujh mein TALASH chor giya.
Jo pori na ho kabhi aisi AAS chor giya..


Yehi KARAM NAWAZII us ki mujh pe kam hai kia.

K khud to door hai YADEIN to pas chor giya.


Jo khawhishen thi kabhi HASRATON mein dhal gayi ab..

Mere LABOON pe wo ek lafz KASH chor giya.


Ye mera zarf hai ik roz us ne MUJH se kaha.

K aam logon mein ek TUJH ko KHAS chor giya.


BAHARON se mujhe isi liye to "NUFRAT" hai.

Inhi RUTON mein mujhe wo "UDASS" chor giya.




No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...