Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, December 11, 2012

bus ik wehshat ka saaya hai

meray dil k nehaan khanon main kitney lafz..
chilatey huwey, yuN ba’in kertay haiN..
keh meray her taraf cheekho’n ka
wehshatnaak shorish.. phail jata hai, satata hai..
magar jab siskiyaaN letay huwey yeh lafz maiN..
kaghaz ki aghosh-e-meherbaaN meiN
chupaanay k liye, tarteeb deti hoon..
achanak ye sabhi alfaaz yu’n chup sadh letay hain,
k goya boltey na hon..
meiN khaali warq pe nazrein jamaaey
qarb ki gehri andheri khamoshi ko..
apnay ander yun chupaati hooN..
k jesay koi apnay zakhm ko un se chuhpata hai
jo ussay pyar kertay hain!
magar is aik koshish say, na dil ka dard jata hai
na koi hal nikalta hey
bus ik wehshat ka saaya hai
jo har suu phail jata hai
 
 
 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...