Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, October 25, 2012

tum bhool gaye ho ab shayad

woh din jo sang guzaray thy,
 tum bhool gaye ho ab shayad
jab jagtay chand sitaray thy, 
tum bhool gaye ho ab shayad

woh panchi jo hum dono ki chahat ke 
naghmay gaatay thy
woh panchi kitnay piyaray thy, 
tum bhool gaye ho ab shayad

duniya ke ghamoon say door kahin,
 chota sa gharonda bana'ain gey
kuch aisay khuwaab humaray thy,
 tum bhool gaye ho ab shayad

tum jaan ho so bardasht kiya,
 warna to jigar ke paar huye
kuch aisay lafz tumharay thy,
 tum bhool gaye ho ab shayad

jab ro ro kar meray aagay
 tum ne daman phailaya tha
aur mere ishq ke maray thy,
 tum bhool gaye ho ab shayad

ab dushman-e-jaan tum kehtay ho
 un logon ko aye jan-e-jaan
jo kal tak jaan say piyaray thy, 
tum bhool gaye ho ab shayad

Meray saath nibhanay kay jo waday
 jaan tumharay thy
mujhe yaad hain woh jo saray thy,
 tum bhool gaye ho ab shayad

 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...