Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, August 1, 2012

Do dilon k juda hain raastay

Do dilon k juda hain raastay
dharakte ek hi simt main hian

Kuch palon k musafir hain dono
phir bhi lambay safar main hain

Chahtay hian ek doje ko bepanah
ek doar se jurne ki bunyaad par

Nahi jantay kuch iske ilawa
kayam hian tou sirf ek pyar per

Wakt ka teer hai sargaram beja
lagne k liyain betaab nishane per

khadshah hai kahin de na zakham ye judae
laga diya hai pehra pehle hi marham per

pyaar main youn beganay nahi hotay
k pyar ki kemat itni sasti nahi

rakho isay zinda hamesha k liyain
k har pyar ko manzil hasil nahi



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...