Dil me lagi tasveer teri hata nahi sakta ,
Tere sang bitaye un lamhon ko bhula nahi sakta
Tere sang bitaye un lamhon ko bhula nahi sakta
Tere bina kya hogi ye zindagi, bata nhi sakta ,
Jitna haq hai mera tujh par utna bhi jata nahi sakta
Jitna haq hai mera tujh par utna bhi jata nahi sakta
Tere sang jeena hai,tere sang hi marna hai ,
Sab khwaab hain inhey haqikat bana nahi sakta
Tuum dil me dil ki har dhadkan me rahti ho ,
Iesliye ye dil bhi cheer kar dikha nahi sakta
Tuum hi aao, Samjhao is nadan dil ko,
Main lakh chah kar bhi isey samjha nahi sakta
Bahut ehsaan hai terey, meri is zindgi par ,
In ehsaano ka karz kabhi chuka bhi nahi sakta
WAAH ATI SUNDER..
ReplyDelete