Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, April 20, 2012

Ye dil tujhe itni shiddat se


Ye dil tujhe itni shiddat se chahta kyu hai

Har saans ke sath tera hi naam aata kyu hai

Tu kitna bhi mujhse talkh e talluk rakhle

Zikr phir bhi tera meri zaban pe aata kyu hai

Yuh to hai kayi fasle tere mere bich

Lgata phir bhi tu mujhko meri jaan sa kyu hai

Teri furkat main tadapne ki ho chuki hai adat meri

Tere dur hone ka phir bhi ehsaas mujko rulata kyu hai

Ye jaanti hu ke tujhko nahi mohabbat mujhse

Magar phir bhi lab pe mere tera hi naam aata kyu hai

Hai yaqeen tujhko paana na hoga mumqeen mere liye

Ye dil phir bhi roz umeed ki shama jalata kyu hai

Mehsus ki hai berukhi teri baato mian kayi baar maine

Lehjo wo phir bhi tera mujhko itna bhata kyu hai

Hai khabar mujhko nikalega tu meri chahat ka janaza ek din

Mann mera phir bhi tere khwab sajata kyu hai

Gar bichad na hi hai to khuda humko milata kyu hai

KAMSIN ko akhir wo itna satata kyu hai

Dil mera tujhko itni shiddat se chahta kyu hai

Har saans ke sath tera hi naam aata kyu hai.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...