Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, April 7, 2012

Rukta Bhi Nahi Theek


Rukta Bhi Nahi Theek Na Se Chalta Bhi Nahi Hai.
Ye Dil K Tere Baad Sambhalta Bhi Nahi Hai.
Ye Sheher Kisi Aaina Kirdaar Badan Par.
ilzam Lagate Howe Darta Bhi Nahi Hai.
Ik Umar Se Hum Is Ki Tamanna Mai Hain Be-Khwaab.
Wo Chaand Jo Aangan Main Utrta Bhi Nahi Hai.
Phir Dil Mein Teri Yaad Ke Manzar Hain Firozaan.
Aisay Mein Koi Dekhnay Waala Bhi Nahi Hai.
Is Umar K Sehra Main Teri Yaad Ka Baadal.
Talta Bhi Nahi Aur Barasta Bhi Nahi Hai..
Hamraah Bhi khwaahish Se Nahi Rehta Hamare.
Aur Baam-e-Rafaaqat Se Utarta Bhi Nahi Hai.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...