Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, April 10, 2012

Kuch Log Bhi Wehmon


Kuch Log Bhi Wehmon Mein Giraftaar Bohet Hain
Kuch Shehar Kii Galiyaan Bhi Pur-Israar Bohet Hain

Hai Kon, Utarta Wahaan Jis Key Liye Chaand
Kehnay Ko To Chehray Pas e Dewaar Bohet Hain

Hontoun Pey Sulagtey Hoye Inkaar Pey Mat Jaa
Palkon Sey Parey Bheegtay Iqraar Bohet Hain

Yeh Dhoop Kii Sazish Hai K Mousam Ki Shrarat
Saaye Hain Wahaan Kum Jahaan Ashjaar Bohet Hain

Be Harf e Talab Un Ko Atta Kar Kabhi Khud Sey
Wo Youn Key Sawaali Teray Khudaar Bohet Hain

Tum Munsif o Aadil Hii Sahii Shehar Mein Lekin
Kyon Khoon Key Cheentay Sar e Dastaar Bohet Hain

Aey Hijr Kii Bastii Too Salamat Rahey Lekin
Sunsaan Teray Koocha o Bazaar Bohet Hain

"Mohsin" Humien Zid Hai K Ho "Andaaz e Byaan Aur"
Hum Log Bhi Ghalib Key Traf Daar Bohet Hain







No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...