Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, April 13, 2012

Main tumharay aks ki aarzoo

Main tumharay aks ki aarzoo
 mein bass aayina hi bani rahi
Kabhi tum na samnay aa sakay, 
kabhi mujh pay gard pari rahi

Woh ajeeb shaam thi,aaj tak
 meray dil mein uss ka malal hai
Meri tarah jo teri muntazir
 teray rastay mein khari rahi

Kabhi waqf-e-hijr main ho gaei,
kabhi khwab-e-wasl mein kho gaei
Main faqeer-e-ishq bani rahi, 
main aseer-e-yaad huwi rahi

Bari khamshi say sarak kay 
phir meray dil kay gird lipat gaei
Woh rida-e-abr-e-sfed
 jo sar-e-kohsar tani rahi

Hue uss say jabb meri baat bhi,
thi shareek-e-dard woh zaat bhi
Toh na janay kon c cheez ki 
meri zindgi mein kami rahi?????????

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...