Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, April 5, 2012

Dil ki baat chupana meri adat nahi


Dil ki baat chupana meri adat nahi.
kisi ka dil dukana meri adat nahi.
Aap sochte hain hum bhul gaye apko,
par ithne acche dost ko bhulana meri adat nahi.
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
Yun dur rehkar duriyon ko badaye nahi krte.
Apne dosto  ko sataya nahi karte.
Har waqt jise bas tumhara khayal ho.
Usay apni awaaz ke liye tarsaya nahi krte.
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
Jannat k mehlon me ho mahal apka
Khwabo ki wadi me ho sheher apka
Sitaro ke angan me ho ghar apka
Dua he sabse khubsurat ho har din apka
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
Na Rahi Aaj Wo Apni Kahani
Na Wo Hasin Din Na Wo Raate Suhani
Fir Bhi Hume Aziz Hai Unki Hr Nisani
Chahe DilKa Wo Dard Ho Ya Ankho Ka Paani.
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
Aankhon se behte hai aansu jab bhi teri yaad aati hai,
aaj hum tanha hain ye ehsas dilati hai,
dil rota hai guzre hue waqt ko yaad karke,
tu hi bata kab tak hum teri yadon mein yun tadpe.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...