Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, April 5, 2012

Chhod Gaye Mujhe Tanha Kar Ke



Suraj se bade sitare aur bhi hai,
unke noor se bade nazare aur bhi hai…
is mohabbat ki ruswai ke siva,
taqdeer se shikayatein aur bhi hai…



Ye bhi ek tamasha hai bazaar-e-ulfat me…
Ai dost,
Dil kisi ka hota hai aur bas kisika chalta hai…


Aisa to nahi k hame sukoon nahi mila unke Aaghosh mein….
Kabhi kabhi bechaini Bhi Zaroori ho jaati hai lekin ..


Sukoon Samaa Se saare Jahaan me Dhoondha lekin
Tassali ki talash taareekhein badalti rahati hai..



Chahat mein teri hum is ghadar masroof ho gaye,
Tere zakhmo mein khushi se door ho gaye,
Har kisi mein teri bewafai jhlakti hai ab,
Tere ishq mein hum ishq se door ho gaye..



Kaagaj ke do tukde hi kaafi hain hame tassali dene k liye…
Aap kahan Dhoondhte firte hain Bulandiyaan un imaarton me



Samandar baha dene ka jigar to rakhte hain lekin..
Hame Ashqon ki numaish ki aadat nahi..



Khwab Me Aaye Tum mere Dildaar Ban Ke,
Us Pal Laga Tamanna hui Poori Meri,
Jub Chand Ki tarah dikhi surat teri,
Toota Jub Khwab Mera Phir Chhod Gaye Mujhe Tanha Kar Ke









No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...