Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, March 15, 2012

Zara Zara

Mere Madhosh Khwaab Woh Taron Bhari Raten
Uss Chaand Ka Muskurana Mujhe Woh Yaad Hai Zara Zara

Neendon Se Jagii Ankhen Siine Parr Behatii Woh Sansen
Labon Parr Bhikharii Shabnam Mujhe Woh Yaad Hai Zara Zara

Sawalon Ki Barsat Jawabon Mai Ruthnna
Pyar Kii Kasam Par Lautna Mujhe Woh Yaad Hai Zara Zara

Woh Hijjrr Ki Lambii Raten Kitabon Mai Shukhe Ful
Ansun Bann Yadon Ka Barsna Mujhe Woh Yaad Hai Zara Zara

Meri Harr Bat Ki Fikrr Intazar Ki Pareshani
Mere Ladkhadane Se Tera Tutna Mujhe Woh Yaad Hai Zara Zara

Jate Rahe Woh Meharba Jab Se Rehata Hu Unn Yadon Mai
Ab Dard Ki Shqll Liye Hai Woh Mujhe Woh Yaad Hai Zara Zara

Chubtii Hai Sansen Shor Machata Hai Dil
Har Waqt Nabz Ginnta Mai Mujhe Woh Yaad Hai Zara Zara

Pahucha Me Uss Zamii Koo Mitti Thii Woh Sanju Sii
Ansun Kii Bundh Thii Terii Sii Mujhe Woh Yaad Hai Zara Zara.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...