Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, March 26, 2012

Wo Mohabbat Ko Parastish

Wo Mohabbat Ko Parastish Ka Maqaam Deta Tha,
Aur Guzre Qissonko Ibadat Ka Darja Samajhta Tha,
Kehta Tha Mohabbat Mein Koi Gharz Posheeda Nahi Hoti,
Mohabbat To Begarz Aur Lafani Hoti Hai,
Kuch Ajeeb Falsafa Mohabbat Mein Uska Tha Ke,
Wo Meri Mohabbat Ka Talib Bhi Tha,
Aur Main Use Matlboob Bhi Na Thi,
Kehta Tha Ke Main Uski Rooh Mein Gazb Hoon Aise,
Ke Mujhko Paane Ki Usko Hasrat Bhi Nahi,

Ajeeb Shakhs Tha Kuch Ajeeb Si Uski Kahani Thi,

Ye Daur Ab Aisi Mohabbaton Ka Nahi Raha,
Milan Ke Bagair Mohabbaton Ka Kya Tasavvur Hai,
Deed Ke Bagair Chahaton Ke Kya Rang Hai,
Ye Dor To Faqt Aghraz Pe Mabni Hai,
Meri Mohabbat Bhi Sirf Chaar Din Ki Kahani Thi,
Koi Gadi Ek Hi Station Pe Hamesha Nahi Rukti,
Waqt Ke Sath Khayalat Badalte Jate Hai,
Mohabbat Baaqi Rehti Hai Mehboob Badalte Jaate Hai,

Maine Chaha Ke Khayalat Uske Badal Dalun Aur,

Mohabbat Ki Haqeeqi Tasveer Dikha Dun Usko,
Wo Mohabbat Ka Pujari Tha Maine,
Usko Tanhayi Ki Saza De Dali,

Mujhe Yaqeen Hai Wo Sota To Hoga Magar,

Neend Uski Aankhon Mein Na Utarti Hogi,
Mehfil Mein Wo Muskurata To Hoga Magar,
Us Tabassum Mein Ek Tees Si Uthti Hogi,
Aankh Mein Aansu To Nazar Na Aate Honge,
Palkon Tale Ek Barish Zaroor Hoti Hogi,
Meri Yaad To Uski Khoon Ki Gardish Ke Sath Thi,
Dil Dhadakta To Hoga Magar Ek Aah Bhi Nikalti Hogi,

Kyon Sochti Hoon Ye Sab Kuch Main,

Jo Taaluq Tha Wo To Maine Tod Diya,
Wo Zinda Rahe Na Rahe Mujhe Usse Kya,
Uski Saans Ruke Ya Chale Mujhe Kya Lena,
Mere Liye To Faqt Itna Kaafi Hai Ke,
Main Ek Duniya-Daar Ladki Aur
Wo Kisi Dusri Duniya Ka Baasi Tha...

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...