Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, March 28, 2012

Tere Ru Baru Tere Pass Hon

Wo Jo Dawey Dar Hai Shehar Main
 K Sabhi Ka Nabz Shanas Hon
Kabhi Aa Key Mujh se To Pochta 
K Main Kis K Gham Main Udass Hon
Yeh Meri Kitab-E-Hiyat Hai
 Ise Dil Ki Aankh Se Parh Zara
Main Warq Warq Tere Samne
 Tere Ru Baru Tere Pass Hon
Yeh Teri Umeed Ko Kia Hua 
Kabhi Tune Ghor Nahi Kia
Kisi Sham Tune Kaha To Tha
 Teri Sans Hon Teri Aas Hon
Yeh Teri Judai Ka Gham Nahi 
K Yeh Silsiley To Hain Roz K
Teri Zaat Is Ka Sabab Nahi 
Kai Din Se Yunhi Udass Hon
Kisi Or Ki Ankh Se Dekh Kar
 Mujhe Aise Wase Laqab Na Dey
Tera Aetibar Hon Jan-E-Man 
Na Guman Hon Na Qayas Hon






No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...