Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, March 15, 2012

shikast hai ...

Mere hamnawa teri be-rukhi dil-e-mubtala ki shikast hai
Issay kis tarah mein kahun fatah yeh meri ana ki shikast hai

Tu chala gaya mujhe chor kar mein ne phir bhi tujh ko sadayain deen
Mere hamsafar tu ruka nahe yeh meri sada ki shikast hai

Tujhe laa ke dil mein bitha diya tujhe raaz har ek bata diya
Tu ne phir bhi koi wafa na ki yeh meri wafa ki shikast hai

Mein chiraag-e-kuhna mizaaj thaa tujhe bijhleyoun ki tallab rahi
Mujhe aandheyoun ne bujha diya yeh meri zia ki shikast hai

Mujhe is tarah na sataoge mujhe zaum thaa ke na jaoge
Mere ghalat weham--o-gumaan hi meri intehaa ki shikast hai

Mujhe koi tujh se gila nahe tu mila thaa kab, kab bichar gaya
Mere jurm ki hai yehi saza yeh meri wafa ki shikast hai

Meri khamoshi ke bayaan ko tu samajh ke bhi na samajh saka
Mere aans'oun ka payaam hi dil-e-benawaa ki shikast hai

Gham-e-daastaan-e-hayaat ke sab hi tazkikray huwe rayegaan
Mere chaaragar tera yeh hunar meri har ada ki shikast hai

Mujhe razmagah-e-hayat mein yunhi kabhi na koi gira saka
Teri khamoshi ki pukaar hi meri ibtidhaa ki shikast hai

Meri jaan tasadduq khamosh reh bhala zour kis ka hawaoun per
Ke jahaan bhi rukh yeh badal gaeen waheen nakhuda ki shikast hai ...


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...