Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, March 15, 2012

Sehmi si nigaho

Sehmi si nigaho me khawab hum jaga
denge, suni si raho me phool hum
bicha denge, hamare sang muskura
kar toh dekhiye, hum aapka har gham
bhula denge…

Pee hai sharab har gali har mehkhane se,ek
dosti si ho gai hai sharab ke jam se,gujre hai
hum kuch aise mukam se ki nafarat si ho gai
mohabbat ke naam se.

gujarte hai meri saaso me tera naam aaj bhi,
dhalti hai tere intezar me meri shaam aaj bhi,
tujko mujh se bichde zamana ho gaya, magar
hoti hai tere naam se meri pahchan aaj bhi

jeevan mein shayad kabhi na mil paao, bas
bichad jaaoge tum shayad humare na ban
paao, par muskuraoge tum raat andheri hogi,
phir-bhi jhilmilaoge tum humein aur koi nahi,
bas yaad aaoge tum

Waqt guzarta raha par saanse thami
thi,Muskara rahe the Hum..Par aankhon mein
nami thi,Saath hamare yeh jahan tha Par jane
kyon aapki kami thi….

Tute khawbao ko phir sajana aata
hai,Ruthe dil ko manana aata hai…
Aap hamare gum ko dekhkar
pareshaan na ho,Humein to dard mein
bhi muskarana aata hai…

Hazaaron jhopdian rakh hoti hai,Tab ek Mahal
banta hai. Humare marne pe kafan bhi
nahi,Aur unke marne par Taj Mahal banta hai….

MAINE Dil ki MEHFIL Me Baithkar,
Fir Ek Bar Apna Dil JALAYA Hai,
Jis Pe Maine APNA Sab Kuch Luta Diya,
Aaj Usi Ne Mere PYAR Ko,
Sare-aam Jhutlaaya Hai..

Thak gaye hum unka Intezar karte karte,Roye hazar bar khud se takrar karte karte.
Do lafz unki zuban se na nikle,aur mit gaye hum unse pyar karte karte..:-(

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...