Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, March 7, 2012

Samandar nay kaha……..

Samandar nay kaha……..
Mohabbat samandar key gehraiyo may chepie hoe eik seepe hai.. Jiss may
chahat jessa anmol moti mojood hai.

Baadal nay kaha ……..
Mohabbat eik ~dhanak hai . Jiss may har Rang Nomaya hota hai…

Shairy nay kaha……..
Mohabbat eik esse ghazal hai ,, Jo har eik sunay walay kay dil may
uttar te chali jate hai …

Saaz nay kaha ……..
Mohabbat eik essa geet hai .. Jo Dil may uttar jata hai ..

Malee nay kaha……..
Mohabbat gulshan kay phool key woh dilkash khusboo hai… Jiss may sara
gulshan mehak uttah hai…

Ankhon nay kaha ……..
Mohabbat ansoo ka samandar hai.. jo kisse kay intezar may khamoshi say
behta hai…

Dil nay kaha ……..
Mohabbat kisse ko Khamoshi say chahay janay ka naam hai… kay aakhire
waqt bhee Izhar na kiya jay…

Naseeb nay kaha ……..
Mohabbat wala duniya ka khush Kismat tareen insaan hai .. Aur jiss kay Dil may
Mohabbat nahin… Woh duniya ka Badd Tareen shakhs Hai…

Nafrat nay kaha ……..
Aakhiri Jeet Mohabbat ki Hoti hai……………

Aur hum nay kaha ……..
Jo hum se bahut dur he wo Mohabbat he……….





No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...