Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, March 7, 2012

Ashaar

Yeh Dard Ke Tukre Hain, Ashaar Nahi Saaghar
Hum Kaanch Ke Dhaage Mai Zakhmon Ko Pirotey Hain..
`
Aao Kisi Shab Mujhe Toot Ke Bikharta Dekho
Meri Ragon Mai Zehr Judaai Ka Utarta Dekho
Kis Kis Adaa Se Tujhe Maanga Hai Khuda Se
Aao Kabhi Mujhe Sajdon Mai Sisakta Dekho..
`
Bekhabar Tujhe Kiya Khabar,
Teri Aankhon Mai Kesa Jamal Hai
Tujhe Dekh Le Jo Bas Ik Nazar,
Us Ki Aankhon Mai Phir Yeh Sawal Hai..
`
Mujh Se Bichar Kar, Mujh Ko Rula Kar Udaas Tha
Meri Tarah Wo Khud Ko Jala Kar Udaas Tha
Aese Ajeeb Dard Ke Pehre The Chaar Soo
Ab Ke Wo Mere Shehr Mai Aa Kar Udaas Tha…
`
Dil Ke Liye Dard Bhi Roz Naya Chahiye
Zindagi To Hi Bata Kaise Jiya Chahiye
Maano Meri Kazmi, Tum Ho Bhaley Aadmi
Phir Wohi Aawargi, Kuch To Haya Chahiye…

Bari mudat sey chaha hey tumhain
Bari duaoon sey paya hai tumhain…
Tumhain bhulaaney ka socho b kasey
Kismat ki lakiron se churaya hai tumhain…!!
`
Lafzon Ke Fasaane Dhondhte Hain Hum Log
Lamhon Mai Zamaane Dhondhte Hain Hum Log
Tu Zehr Hi De Sharaab Keh Kar Saaqi
Jeene Ke Bahaane Dhondhte Hain Hum Log…
`
Raabton, Rishton Mai Uljhan Thi Bohot
Is Nizam-E-Shehr Mai Rehne Ki Himmat Hi Na Ki
Lafz Yeh Logon Mai Raij Tha “Bohot”
Is Liye Is Shehr Mai Hum Ne Mohabbat Hi Na Ki…
`
Har Taraf Aap Ki Yaad Par Laga Ke Pehra
Jee Kara Kar Ke Betha Tha Ke Mat Yad Aye
Nagahan dil kisi baat par aesa dukha,
Mai Bohot Roya, Mujhe Aap Bohot Yad Aye…
`
Duniya To Hai Kaanton Ka Bichona Pyaare
Tum Hum Se Kabhi Hona Na Judaa Pyaare
Aao Mil Kar Dukh Ke Lamhe Kaaten
Ik Jashn Hai Sath Sath Rona Pyaare…
`
Rota Hun To Ahbaab Bura Maante Hain
Hansta Hun To Mujrim Mujhe Gardante Hain
Har Haal Mai Aetiraaz Karne Waale
Nadaan Mere Halaat Kahan Jaante Hain…
`
Lipta Hai Mere Dil Se Kisi Raaz Ki Surat
Wo Shakhs Ke Jis Ko Mera Hona Bhi Nahi Hai
Yeh Ishq-O-Mohabbat Ki Riwayat Bhi Ajab Hai
Paana Bhi Nahi Hai, Usse Khona Bhi Nahi Hai..
`
Dekhte Hain Aaj Hum Us Raah Ki Weeraaniyan
Yaaron Ke Sang Kaati Jahan Hum Ne Zindaganiyan
Guzar Gaya Wo Daur, Bichar Gaye Sab Dost
Sath Reh Gaen To Un Lamhon Ki Kahaniyaan..
`
Kisi Ki Dhun, Kisi Ke Gumaan Mai Rehte Hain
Hum Ek Khuwab Ki Surat Jahan Mai Rehte Hain
Ghamon Ki Dhoop Se Darte Nahi Hain Wo Amjad
Kisi Nigaah Ke Jo Saiybaan Mai Rehte Hain..
`
Jab Rooh Kisi Bojh Se Thak Jaati Hai
Ahsaas Ki Lo Aur Bhi Barh Jaati Hai
Mai Barhta Hun Zindagi Ki Janib Lekin
Zanjeer Si Paon Mai Chanak Jaati Hai..

Pal Pal Uska Saath Nibhaate Hum
Aik Ishare Peh Duniya Chhor Jate Hum
Samundar K Beech Me Pohanch Kr Fareb Kiya Usne
Woh Kehta To Kinare Peh Hi Doob Jate Hum…


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...